Saturday, November 3, 2007

गुडिया



Chithi ki tarah dil se jindagi likh dena .
aur .. kahin aur hin bhej dena .
Nanhe se padhon ko sinch kar kaliyon ka Nikalwana .
Aur Fulon ke Guldaste ko ..kisi ko bhet dena .
Anmol aasun ki tarah AAnkhon mein bhar lenaa .
aur pani ki tarah bahaa denaa ..
Aangan mein usaki aawaz chehakaa denaa .
Aur tulsi kisi aur ki bana dena .
Ungali se hath pakarna sikha denaa .
Aur hath kisi aur ko de dena.
Rani si bitiyaa ko gudiya ki tarah khelaa lenaa .
Aur bahu kisi aur ki banaa denaa .
AUTHOR: Priya